Ghazals | غزلیں


English اردو


buraa ho i'shq tiraa, hosh-e-jism-o-jaaN nah rahaa *
buraa ho i'shq tiraa! hosh-e-jism-o-jaaN nah rahaa
zameeN ko ro hee rahe th`e keh aasmaaN nah rahaa

yeh zaKhm-zaKhm jigar aur luhoo-luhoo yeh dil
tumhaare dard kaa charchaa kahaaN kahaaN nah rahaa?

yeh kaisaa shehr hai? har shaKhS mujh` pah haNstaa hai
Ghareeb-e-shehr ko ab kyaa koyee makaaN nah rahaa?

Ghalat^ hai yeh keh naheeN teree aabroo kaa Khayaal
Khudaa gawaah keh andaazah-e-fuGhaaN nah rahaa!

isee kaa naam hai shaayad KhizaaN keh gulshan meN
bahaar aayee to ik meraa aashyaaN nah rahaa!

tire Khayaal se yooN ho gayaa hooN aasoodah
mujh`e dimaaGh-e-Gham-o-fikr-e-do-jahaaN nah rahaa!

chalo yeh Khoob huwaa Khush ho gaYe aaNsoo
luhoo woh pehle jo th`aa Zeb-e-daastaaN nah rahaa!

a'jeeb cheez hai dil kaa mu,a'amilah "Sarwar"
ik u'mr guZree mujh`e shauq-e-een-o-aaN nah rahaa!