Ghazals | غزلیں


English اردو


aafat hai, muSeebat hai,qiyaamat hai, balaa hai *
aafat hai, muSeebat hai, qiyaamat hai, balaa hai!
yeh i'shq-e-sitamgaar Khuaa jaaniYe kyaa hai

sab meree Khat^aa hai keh zamaaneh kee hawaa hai
dil hai keh isee soch meN din raat lagaa hai

saayah saa nigaahon meN miree koyee basaa hai
lillaah! bataaYe koyee aaKhir keh yeh kyaa hai?

kab ham ko tire dard se inkaar rahaa hai?
yeh Gham hee to ik u'mr kee meHnat kaa Silah hai

badlaa hai, nah badle gaa yeh dasroor-e-zamaanah
hai dasht wohee aur wohee aablah-paa hai

ho jaatee tire aane se taSdeeq-e-bahaaraaN
sab kehte haiN keh yeh bh`ee tiree ek adaa hai!

yooN dil meN shash-o-panj kee hai aaNkh-michaulee
jaise koyee ch`up ch`up ke mujh`e dekh` rahaa hai

tum yooN nah karo "Sarwar"-e-naakaam se nafrat
hai kuch` se to achh`aa jo yeh laakh`oN se buraa hai!