Ghazals | غزلیں


English اردو


i'shq-o-junooN kaa sard hai baazaar dekh`naa *
i'shq-o-junooN kaa sard hai baazaar dekh`naa
"koo-e-jafaa meN qeHt^-e-Khareedaar dekh`naa"

HirmaaN-naSeebee-o-Gham-o-aazaar dekh`naa
kyaa kyaa dikh`aaYe tuhmat-e-aGhyaar dekh`naa

har chand hosh kh`onaa hai ik shart^-e-a'ashiqee
majnooN hai apne i'shq meN hushyaar dekh`naa

Khaat^ir meN kis ko laayee kabh`ee gardish-e-jahaaN?
uljh`e nah us se koyee, Khabardaar! dekh`naa

kam-himmatee se teree nah ho jaaYe daaGhdaar
daaman kisee kaa, deedah-e-KhooNbaar! dekh`naa

Khush-waqtee-e-shabaab-o-shab-e-waSl-o-jaam-e-mai!
sab haiN fanaa ke Haashiyah-bardaar! dekh`naa

raNgeenee-e-Hayaat baRee cheez hai magar
Had se baRh`e nah laZZat-e-deedaar dekh`naa!

"Sarwar"! nah Dh`aaYe koyee qiyaamat Khudaa kare!
yooN soo-e-aasmaaN tiraa har baar dekh`naa