English اردو
yooN haath` dh`oYe baiTh`e haiN dil aur jigar se ham *
yooN haath` dh`oYe baiTh`e haiN dil aur jigar se hamgoyaa keh naa-umeed se haiN chaarah-gar se ham
dil Dh`ooNDtaa hai goshah-e-i'rfaan-o-aagahee
gh`abraa gaYe haiN kash-makash-e-Khair-o-shar se ham
teraa patah chalaa nah Khud apnee Khabar rahee
guZre haiN is t^araH bh`ee tiree reh-guZar se ham
dil hee to hai siyaasat-e-dunyaa se Dar gayaa
naa-chaar warnah aise nah th`e baal-o-par se ham!
ab ham haiN aur kashaa-kash-e-manzil kee laZZateN
baare! keh beniyaaz huYe raahbar se ham
ai i'shq! tere faiZ^ se kyaa kyaa naheeN bane?
geh shabnam-e-bahaar rahe, geh sharar se ham
yeh Zauq-o-shauq-o-jaZb-e-tamannaa, zahe naSeeb!
poNhche kahaaN pah aur chale th`e kidh`ar se ham
"Sarwar"! hameN kuch` aisaa zamaaneh kaa Gham nah th`aa
girte nah kaash aap hee apnee naz^ar se ham