English اردو
ai dil! tiree qismat meN raaHat na shakebaayee *
ai dil! tiree qismat meN raaHat nah shakebaayeeshoreedah-saree apnee aayee to yeh kaam aayee!
Z^abt^-e-Gham-e-ulfat par naazaaN hooN bohat lekin
jab yaad tiree aayee wallaah! bohat aayee
itnaa to Zaraa kahiYe is jurm-e-muHabbat meN
kuch` aap ko apnee bh`ee taqSeer naz^ar aayee?
seekh`e haiN qiyaamat ke andaaz kahaaN tum ne?
ik aan tamaashah ho, ik aan tamaashaayee!
ikraam-e-muHabbat meN Th`ukraa diyaa dunyaa ko
yeh kaisee tamannaa hai aur kaisaa tamannaayee?
dekh`e to koyee shauq-e-Khud-beenee-e-fit^rat ko
yeh Z^abt^-e-chaman-bandee, yeh anjuman-aaraayee!
Khud apnee Haqeeqat par afsos huwaa ham ko
aa,eenah-e-hastee meN Soorat jo naz^ar aayee
"Sarwar" kee Khamoshee par woh haNs ke yeh kehte haiN
:deewaanah hai deewaanah! saudaayee hai saudaayee!:
غزل
