English اردو
qiyaamat ho, museebat ho, balaa ho *
qiyaamat ho, muSeebat ho, balaa ho!tumhaare dam se ho chaahe qaZ^aa ho
adaa-e-beniyaazee us kee, taubah!
Khudaa-naa-Khwaastah jaise Khudaa ho!
isee kaa naam shaayad dostee hai
wafaa ke naam par jaur-o-jafaa ho
guZaaree HasratoN meN zindagaanee
dil-e-dard-aashnaa! teraa bh`alaa ho!
sataaYe kyaa use fikr-e-do-a'alam?
tumhaaraa Gham jise raas aa gayaa ho
mire hamdam! yeh koyee zindagee hai?
jahaaN har saaNs jeene kee sazaa ho
nah socho kyaa Haqeeqat hai hamaaree
yeh dekh`o tum hamaare dil meN kyaa ho!
bajaa hai naaz aise dil peh "Sarwar"
shikastah jo ho aur dard-aashnaa ho!
غزل
