English اردو
jab se us Husn-e-balaaKhez kaa shaidaayee huwaa *
jab se us Husn-e-balaaKhez kaa shaidaayee huwaaZarrah Zarrah mujh`e ik jalwah-e-yaktaayee huwaa!
koyee anjaam-e-wafaa-peshagee pooch`e ham se
wajh-e-ruswaayee yehee shauq-e-paZeeraayee huwaa
yaad bh`ee aatee rahee, dil bh`ee miraa dukh`taa rahaa
aur maiN th`aa keh tiraa ph`ir bh`ee tamannaayee huwaa!
ai Gham-e-zeest! tiraa shukriyah, tere haath`oN
maiN tamaashah banaa aur Khud hee tamaashaayee huwaa
har nafas pesh-e-naz^ar jalwah-e-Husn-e-ma'nee
bazm-e-dunyaa huyee yaa goshah-e-tanhaayee huwaa
kh`ul gayaa raaz-e-jafaa-joo,ee-e-shehr-e-KhoobaaN
jab se maiN teree wafaa,oN kaa shanaasaayee huwaa
Sabr aa hee gayaa dunyaa kee hunar-mandee par
leejiYe! jabr bh`ee hamraNg-e-shakebaayee huwaa!
"Sarwar"-e-Khastah-nafas, soKhtah-jaaN, deewaanah!
us kaa kyaa Zir hai? saudaayee to saudaayee huwaa!