English اردو
hameN zamaanah huwaa aap se wafaa kartr **
hameN zamaanah huwaa aap se wafaa karteagar nah hotee yeh a'adat to jaane kyaa karte!
jo hotee shikaayat to bar-malaa karte
kiYe ka apnee bh`alaa kis se ham gilaa karte?
Khat^aa mu,a'af! muHabbat naheeN Khat^aa koyee!
hameN zamaanah huwaa ik yehee Khat^aa karte!
rah-e-t^alab meN milaa jo bh`ee aashnaa niklaa
bataa,o kaun se rehzan ko reh-numaa karte?
naheeN hai farq muHabbat meN aur i'baadat meN
nah hotee yaad tiree to Khudaa Khudaa karte!
Khudaa ke waaste samjh`o hamaaree majbooree
tumheN nah dete agar dil to aur kyaa karte?
nah shaam hai, nah saHar woh hai aur nah woh shab hai
ph`ir aur kaise bh`alaa qarZ^-e-Gham adaa karte?
nah aap aaYe shab-e-Gham to kuch` buraa nah huwaa
jo aate yaad nah ham ko to haaN! buraa karte!
chaman meN SuHbat-e-gul hee to ek cheez naheeN
kabh`ee to Khaar bh`ee ch`oone kaa HauSilah karte
bh`arosah kaisaa siyaasat meN i'shq kee "Sarwar"?
nah karte tum se jo dushman woh aashnaa karte!
غزل
