English اردو
un ko ham yaad kiyaa karte haiN **
un ko ham yaad kiyaa karte haiNroz mar mar ke jiyaa karte haiN!
aap kaa naam liyaa karte haiN
is t^araH yaad-e-Khudaa karte haiN!
yeh jo un se hai ik ummeed-e-wafaa
mehrbaaN! aap yeh kyaa karte haiN?
aap kyaa kehte haiN mere Haq meN?
sab to deewaanah kahaa karte haiN
dil-lagee to naheeN yeh dil kee lagee
log kyoN is kaa gilaa karte haiN?
i'shq ke naam pah marne waale
roz be-maut maraa karte haiN
nek-naamee ho isee meN shaayad
yooN woh badnaam kiyaa karte haiN
yeh to a'adat hai puraanee un kee
jaan kar kab woh jafaa karte haiN
un ko aa,eenah dikh`aa kar "Sarwar"
qiblah ko qiblah-numaa karte haiN!