Ghazals | غزلیں


English اردو


jo chashm-e-karam hai woh zamaaneh ke liYe hai **
jo chashm-e-karam hai woh zamaaneh ke liYe hai
aur yeh dil-e-maz^loom sataane ke liYe hai!

yeh Zikr-e-jafaa shauq baRh`aane ke liYe hai
aur shauq-e-jafaa jaan se jaane ke liYe hai

kyaa aaNkh` tiree nam miree Haalat pah huyee hai?
yaa yeh bh`ee ik andaaz sataane ke liYe hai?

ai saadah-dilee! hosh kee le, aaNkh` Zaraa kh`ol!
wa'dah bh`alaa kyaa us kaa nibh`aane ke liYe hai?

Allah bachaaYe! yeh muHabbat, yeh siyaasat?
jo baat hai woh baat banaane ke liYe hai

majboor-e-muHabbat ko nah majboor kareN aur
kyaa dil bh`ee koyee cheez dikh`aane ke liYe hai?

gah ashk-e-shab-e-Gham, gahe aah-e-shab-e-hijraaN
u'nwaaN yehee bas mere fasaane ke liYe hai!

har Subh Gham-e-shaam meN marnaa miree taqdeer
har shaam lagee dil kee baRh`aane ke liYe hai!

yeh naaz, yeh andaaz, yeh shoKhee, yeh tabassum!
dunyaa kaa sitam aaj hee Dh`aane ke liYe hai?

"Sarwar" hai tiree yaad meN jaltne ko shab-o-roz
yaa shaam-o-saHar naaz uTh`aane ke liYe hai!