English اردو
SubH-e-i'shrat dekh` kar, shaam-e-GhareebaaN dekh` kar
SubH-e-i'shrat dekh` kar, shaam-e-GhareebaaN dekh` karmeHv-e-Hairat hooN maiN raNg-e-bazm-e-imkaaN dekh` kar!
har qadam per ik taqaaZ^ah, her gh`aRee Hasrat nayee!
maiN chalaa th`aa raah-o-rasm-e-dehr aasaaN dekh` kar!
koyee batlaaye keh yeh mushkil muHabbat to naheeN?
ham pareshaaN ho gaye un ko pareshaaN dekh` kar!
is qadar hai Khaak se nisbat miree taqdeer ko
yaad aa jaataa hai gh`ar apnaa, bayaabaaN dekh` kar
uTh` gayee rasm-e-muHabbat, sard hai baazaar-e-i'shq
dil taRaptaa hai mataa,e`-Gham ko arzaaN dekh` kar
zindagee guZree kisee kee aarzoo karte huYe
aur ab HairaaN hooN maiN yeh shehr veeraaN dekh` kar
baat kyaa hai? yaad kyoN aataa hai aNjaam-e-Hayaat?
mausam-e-gul dekh` kar, raNg-e-bahaaraaN dekh` kar
kyaa milaa :Sarwar: tumheN is paarsaa,ee ke t^ufail?
us ko kaafir soch kar, Khud ko musalmaaN dekh` kar!