English اردو
nah Gham hai aur nah hee koyee Khushee hai **
nah Gham hai aur nah hee koyee Khushee haia'jab ai dost! yeh be-chaaragee hai!
bas ik ruswaayee-e-dunyaa buree hai
wagarnah kyaa buree ye a'ashiqee hai?
wafaa,oN kaa Silah ab Khaamushee hai
jafaa kyaa maa,il-e-shaa,istagee hai?
raheeN-e-i'shq meraa Gham naheeN hai
t^abee,a't hee mujh`e aisee milee hai!
jise koyee nah Gham ho doosroN kaa
bataa,o woh bh`ee koyee aadamee hai?
tumheN shaayad naheeN hai i'lm is kaa
hameN tum se muHabbat ho gayee hai
Khudaa-raa! ik nigaah-e-aashnaayee!
tamannaa haath^ ph`ailaaYe kh`aRee hai
taGhaaful, be-ruKhuee, be-e'tibaaree!
lagee yeh dil kee hai yaa dil-lagee hai?
agar achh`aa kaho achh`ee hai dunyaa
agar samjh`o buree to yeh buree hai!
tujh`e "Sarwar"! milee jo naa-muraadee
muHabbat meN tiree koyee kamee hai!