English اردو
gilah kare nah kabh`ee, ashk-e-Gham se kaam nah le **
gilah kare nah kabh`ee, ashk-e-Gham se kaam nah lewoh dil maiN laa,ooN kahaaN se jo teraa naam nah le?
kabh`ee salaam nah le aur kabh`ee payaam nah le!
yeh intiqaam a'jab hai! yeh intiqaam nah le!
mataa'-e-jaaN haiN Gham-e-aarzoo ke jo lamHe
dil-e-Ghareeb se ai u'mr-e-tezgaam! nah le!
bohat hai naaz tujh`e apnee be-niyaazee par
jo ho sake to nigaahoN kaa bh`ee payaam nah le!
naz^ar milaanaa bh`ee kyaa man,a' hai sharee,a't meN?
nah le KhulooS-o-muHabbat kaa too salaam nah le
hameN giraaN naheeN afsaanah kufr-o-eemaaN kaa
magar yeh Zikr-e-Gham-e-yaar kaa maqaam nah le!
ho jis kee shaam-o-saHar tere naam se mansoob
woh naam teraa bh`alaa kaise Subh-o-shaam nah le?
jafaa to deedah-o-daanistah Khoob hai mujh` par
magar Ghazab! keh kabh`ee bh`ool kar bh`ee naam nah le!
rahe nah Husn-e-fusooN-saaz kaa bh`aram hargiz
niyaaz-e-i'shq agar a'ajizee se kaam nah le!
puraane raNg kee "Sarwar"! yeh shaai'ree kab tak?
nikaal raah nayee apnee, raah-e-a'am nah le!