English اردو
SubH bh`ee chain naheeN, shaam bh`ee aaraam naheeN **
SubH bh`ee chain naheeN, shaam bh`ee aaraam naheeNkyaa muHabbat ke siwaa dil ko koyee kaam naheeN?
koyee din jaataa hai aa jaaYe gaa is dil ko sukooN
nau-giriftaar-e-wafaa Khoogar-e-aalaam naheeN
log to baat kaa afsaanah banaa dete haiN
warnah kyaa mujh` ko Gham-e-i'shq meN aaraam naheeN?
ik nigaah-e-Ghalat^-andaaz kaa maaraa hooN maiN
meree waaraftagee paaband-e-mai-o-jaam naheeN!
mujh` ko anjaam-e-muHabbat se Daraane waalo!
is meN aaGhaaz hee aaGhaaz hai, anjaam naheeN!
jama' jo Khud ko kiyaa karte ho Zarrah Zarrah
tum ko logo! Gham-o-andeshah-e-anjaam naheeN?
sajdah-e-i'shq ko jo kufr samajh` baiTh`e haiN
wo yaqeena" abh`ee sharmindah-e-Islam naheeN!
is siyaasat peh tiree sau dil-o-jaaN se qurbaaN
dard woh mujh` ko diyaa jis kaa koyee naam naheeN!
waqt-e-aaKhir yehee eHsaas mujh`e kaafee hai
kaam achh`e nah sahee, naam to badnaam naheeN!
maiN hooN "Sarwar"! Gham-e-insaaN kaa hee halkaa saayah
kuch` patah meraa naheeN, meraa koyee naam naheeN!
غزل
