Ghazals | غزلیں


English اردو


dunyaa se judaa kaisee yeh apnee t^abee,a't hai! **
dunyaa se judaa kaisee yeh apnee t^abee,a't hai?
maiN meHv-e-muHabbat hooN, woh meHv-e-siyaasat hai!

har saaNs mire Haq meN ilzaam hai, tuhmat hai
zindah hooN tire Gham meN, itnaa bh`ee Ghaneemat hai!

ai ashk-e-seHargaahee! yeh kaisee muSeebat hai?
bolooN to hai ruswaayee, chup hooN to qiyaamat hai!

be-faiZ^ haiN yeh aaNsoo shaayad tiree naz^roN meN
lekin mire maZhab meN naam in kaa i'baadat hai!

Gham HaaSil-e-hastee hai, Gham manzil-e-hastee hai
hai i'shq meN Gham to kyaa? Gham hee to muHabbat hai!

ai yaad-e-shab-e-hijraaN! le aayee kahaaN mujh` ko?
Hairaanee see Hairaanee, weHshat see yeh weHshat hai!

ilzaam-e-junooN par maiN bad-dil hooN to kyoN-kar hooN?
ilzaam-e-junooN hee to ina'am-e-muHabbat hai!

bad-Haalee-e-qismat kaa ilzaam kise dooN maiN
kuch` meree hai kotaahee, kuch` teree mashiyyat hai!

dunyaa mujh`e deewaanah kehtee hai agar "Sarwar"!
kuch` jh`ooT naheeN is meN, wallaah! Haqeeqat hai