Ghazals | غزلیں


English اردو


woh hooN maa,il ba karam meree pareshaanee meN? **
woh hoN maa,il ba karam meree pareshaanee meN?
aag lagte huYe dekh`ee hai kabh`ee paanee meN?

roz ik Gham hai nayaa, roz nayaa ek sitam
kaise keh dooN hai kamee teree zar-afshaanee meN?

hosh uRte haiN mire hosh kee jo suntaa hooN
ab bh`ee kyaa shak hai miree chaak-girebaanee meN?

SubH ko ashk-e-junooN, aah-e-pareshaaN har shaam

chain hee chain hai is KhaanmaaN-weeraanee meN!

dil dikh`aane ko to dikh`laa dooN magar Dartaa hooN
koyee mushkil nah ho paidaa isee aasaanee meN!

Gham-e-dunyaa se siwaa hai Gham-e-jaanaaN meraa
kaT rahaee hai miree kis darjah tan-aasaanee meN!

mere andaaz-e-junooN par nah haNseN ahl-e-Khirad
"a'ql kee baat nah keh dooN kaheeN naadaanee meN!"

silsilah gar koyee chal jaaYe to ik baat bh`ee hai
muddateN beet gayeeN silsilah-juNbaanee meN!

mushkileN pehle hee kyaa jaan pah kam th`eeN "Sarwar"?
paR gaYe i'shq kee jo aur pareshaanee meN?