Ghazals | غزلیں


English اردو


dil kee baatoN meN kyaa aanaa dil to ik deewaanah hai **
dil kee baatoN meN kyaa aanaa dil to ik deewaanah hai
pal meN tolah, pal meN rattee, is kaa kaun Th`iaanah hai?

mere dil ke dard meN pinhaaN saaraa dard-e-zamaanah hai
dunyaa jis ko duhraatee hai meraa hee afsaanah hai!

pyaar muHabbat sab dh`okaa haiN, aur wafaa afsaanah hai
tere dil meN gh`ar kar lenaa jal meN aag lagaanaa hai!

an dekh`ee KhushyoN se dil kuch` sehmaa sehmaa rehtaa hai
us ne Gham jo apnaayaa hai, woh jaanaa pehchaanaa hai

is jaanib ummeed-o-tamannaa, us jaanib Hasrat aur yaas
SubH kaa qiSSah aur hai yaaro! shaam kaa aur fasaanah hai

apnaa qiSSah kehne ko dil, laakh` bahaane Dh`ooNDe hai
ashk-e-alam kuch` aur naheeN hai, yaad kaa ek bahaanah hai!

aaNkh` kh`ulee to tum aaNkh`oN meN, band huyee to dil meN tum ho
meraa hosh se jaanaa kyaa hai, aur kyaa hosh meN aanaa hai?

dair-o-Haram dil joRaa karte to ph`ir koyee baat nah th`ee
aa mil baiTh`eN ek jagah ham, saamne woh maiKhaanah hai!

kuch` kehtaa hai, kuch` kartaa hai "Sarwar" kaa hai Haal a'jeeb
apnee baateN Khud hee samjh`e, woh to ik deewaanah hai!