Ghazals | غزلیں


English اردو


hamaaraa Gham nah rahaa Gham, Khushee Khushee nah rahee **
hamaaraa Gham nah rahaa Gham, Khushee Khushee nah rahee
woh kyaa gaYe keh tab-o-taab-e-zindagee nah rahee!

woh ek wajh-e-sukooN, won umeed hee nah rahee
hawaa-e-waqt chalee aisee Khaak bh`ee nah rahee!

tiree jafaa,oN par ab e'tibaar kaise ho?
woh th`ee jo pehle tiree be-ruKhee wohee nah rahee

Gham-e-Hayaat, Gham-e-aarzoo, Gham-e-dunyaa!
jo HasratoN ko kaho tum to ab koyee nah rahee

mataa'-e-dil jo muHabbat meN luT gayee to kyaa?
dil-e-a'zeez ko Hasrat jo ek th`ee, nah rahee!

yeh SubH-o-shaam ke aaNsoo, yeh roz-o-shab kaa Gham
lagee jo dil ko hai yaaro! woh dil-lagee nah rahee!

tumhaaraa wa'dah-e-fardaa, miree yeh ummeedeN
miree Kharaabee meN ab koyee bh`ee kamee nah rahee

yeh shaam-e-Gham, yeh shab-e-soKht aur yeh SubH-e-alam
sukoon-e-dil! tujh`e kyoN mujh` se dostee nah rahee?

buraa ho ashk-e-alam! too ne raaz kh`ol diyaa
th`ee dil meN ek Khalish woh bh`ee ab ch`upee nah rahee

bataa keh waqt ne kyaa Gham diYe tujh`e "Sarwar"?
woh aab-o-taab, woh pehlee see baat hee nah rahee!