Ghazals | غزلیں


English اردو


haNgaamah-e-Hasrat hai yaa shorish-e-armaaN hai **
haNgaamah-e-Hasrat hai yaa shorish-e-armaaN hai
yaarab! yeh miraa dil hai yaa bazm-e-KharaabaaN hai?

maiN hooN, mire armaaN haiN aur koochah-e-jaanaaN hai
tajdeed-e-gulistaaN hai, tamheed-e-bahaaraaN hai!

naakaam-e-muHabbat hai, zindaanee-e-hijraaN hai!
"Sarwar" ko nah ch`eRo tum, aaKhir ko woh insaaN hai!

seekh`o to Zaraa aa kar aa,een-e-wafaadaaree
karnaa baRaa mushkil hai, kehnaa baRaa aasaaN hai!

yaadoN ke sahaare hee zindah hai dil-e-weeraaN
yaadoN se udh`ar kyaa hai? ik shehr-e-KhamoshaaN hai!

kyaa Khoob muHabbat ke andaaz niraale haiN!
Gham apnaa hee HaaSil hai, Gham apnaa hee darmaaN hai!

kyaa bandah-e-ulfat ko mat^loob siyaasat se?
Ka'bah hee kaleesah hai aur kufr hee eemaaN hai!

naazuk hai bohat rishtah eemaan-o-muHabbat kaa
sar-rishtah-e-ulfat hee deebaachah-e-eemaaN hai!

har baat peh aaNsoo haiN, har kaam se bezaaree
Khud apnee t^abee,a't se dil aap hee naalaaN hai

andeshah-e-hastee se yaksar hai woh begaanah
"Sarwar" ko Zaraa dekh`o! shaayad woh musalmaaN hai!