English اردو
har aan muHabbat meN miree jaaN pah banee hai **
har aan muHabbat meN miree jaaN pah banee haidunyaa hai keh yeh kh`el kh`aRee dekh` rahee hai!
Gham hee mujh`e koyee hai, nah hee koyee Khushee hai
yeh kaise do-raahe pah Hayaat apnee kh`aRee hai?
maiN aur taGhaaful kee shikaayat karooN? taubah!
kab aap ne pehle miree roodaad sunee hai?
afsos! suKhan-saazee-e-arbaab-e-siyaasat!
ab shehr-e-muHabbat meN jo hai reet nayee hai
har zaKhm pah ummeed nayee dil meN ho paidaa
aa,een-e-wafaa hai to yehee sheeshah-garee hai!
taskeen-e-alam, Zikr-e-wafaa, wa'dah-e-fardaa!
kuch` bh`ee naheeN alfaaz^ kee ik jaadoo-garee hai
dunyaa ke GhamoN ne mujh`e rakkh`aa nah kaheeN kaa
ab aah-e-seHar hai, nah Gham-e-neemshabee hai
go sach hai keh ummeed pah qaa,im hai yeh dunyaa
jo kal th`aa tiraa aaj bh`ee andaaz wohee hai!
haNstee hai jo dunyaa miree aashuftah-saree par
sau hosh se bh`aaree miree yeh be-Khabaree hai!
behtar hai keh Khaamosh raheN HaZ^rat-e-"Sarwar"!
asha'ar naYe haiN, nah koyee baat nayee hai
غزل
