Ghazals | غزلیں


English اردو


hooN Khastah-nafas, aaNkh` bh`ee bh`ar aayee hai **
hooN Khastah-nafas aaNkh` bh`ee bh`ar aayee hai
kyaa dil ke ujaRne kee Khabar aayee hai?

har yaad paYe-zaKhm-e-jigar aayee hai
aanaa th`aa nah yooN is ko, magar aayee hai!

har ashk hai aa,eenah usee Soorat kaa
neeNd aise bh`ee ai deedah-e-tar! aayee hai?

yaa ashk giraa, yaa koyee dil TooT gayaa
aahaT se jo haNgaam-e-saHar aayee hai!

hai paas mujh`e naam kaa us ke itnaa
yaad us kee ba-andaaz-e-digar aayee hai!

pehchaan sakooN Khud ko to hai baat baRee
aa,eeneh meN Soorat to naz^ar aayee hai!

kyaa kam th`e yeh ilzaam-e-junoon-o-weHshat?
jo tuhmat-e-Gham bh`ee mire sar aayee hai?

be-wajh naheeN teree shikaayat lab par
be-saaKhtah aayee hai, agar aayee hai

har naqsh-e-qadam sajdah-e-KhooN se raNgeeN
kis raNg tiree raah-guZar aayee hai!

yeh faiZ^ hai naakaamee-o-Gham kaa "Sarwar"!
shoreeda-saree teree nikh`ar aayee hai!