English اردو
koyee aaj baiTh`aa hai naz^reN churaaYe **
koyee aaj baiTh`aa hai naz^reN churaaYetamaashah ho dil pah jo bijlee giraaYe!
umeedoN kee dunyaa meN gum ho gayaa hooN
Gham-e-zindagee se kaho, lauT jaaYe!
Hayaat-e-fasurdh ko Th`ukraa rahaa hooN
kaho dil se, dunyaa nayee ik basaaYe
nigaahoN kee betaabiyaaN le nah DoobeN
kaheeN raaz-e-deewaanagee kh`ul nah jaaYe!
wafaa kyaa, jafaa kaisee, kyaa aashnaayee!
kisee shoKh ne haiN kh`ilaune banaaYe
Th`ikaanah naheeN us kaa dunyaa meN koyee
tire Gham kaa maaraa kahaaN sar ch`upaaYe?
baRe shauq se daastaaN th`ee sunaayee
woh sunte rahe, sun ke ph`ir muskuraaYe!
taSawwur kee nai-raNgiyaaN! Allah, Allah!
woh dekh`o nigaaheN churaaYe woh aaYe!
naz^ar meN Khudaa jaane kyaa bas gayaa hai?
taSawwur meN kuch` raqS karte haiN saaYe!
yehee soch kar dil ko "Sarwar"! saNbh`aalaa
zamaaneh ne kis par naheeN z^ulm Dh`aaYe?