Ghazals | غزلیں


English اردو


kyaa Khoob tum ne meree wafaa kaa Silaa diyaa! **
kyaa Khoob tum ne meree wafaa kaa Silaa diyaa!
kuch` aur dard dil kaa Zaraa saa baRh`aa diyaa!

kyaa pooch`te ho mujh` ko muHabbat ne kyaa diyaa?
kyaa kam hai yeh keh ik dil-e-dard-aashnaa diyaa?

be-chaaragee-e-shaam-e-muHabbat to dekh`iYe
ik dil hee jal rahaa th`aa use bh`ee bujh`aa diyaa!

dil le ke aise Saaf mukarnaa? kamaal hai!
jaa! tujh` ko dil diyaa jo to raah-e-Khudaa diyaa!

naa-aashnaa-e-dard th`e kal, ab haiN Gharq-e-Gham
dil kee lagee ne kiyaa liyaa aur le ke kyaa diyaa!

eHsaan kis qadar hai dil-e-naaSuboor par
jo dard bh`ee diyaa use, woh laa-dawaa diyaa!

aasoodah ho chalaa hai Gham-e-do-jahaaN se dil
kyaa raaz th`aa jo aap ne us ko bataa diyaa?

ik dil hai aur shaam-o-seHar HasratoN kee dh`oom
is Gham ne us ko raah se kaisaa lagaa diyaa!

har inqilaab-e-dehr hai ik dil meN mauj-zan
kyaa Khoob ahl-e-dard ko yeh aa,eenah diyaa!

dil kaa buraa naheeN wo go taqdeer hai Kharaab
"Sarwar" ko tum ne kis liYe aaKhir bh`ulaa diyaa?