English اردو
maaHaul saazgaar, fiZ^aa Khushgawaar hai **
maaHul saazgaar, fiZ^aa Khushgawaar haiai dost! aa bh`ee jaa, tujh`e kyaa intiz^aar hai?
meraa girebaaN, Khair, agar taar-taar hai!
apnee Khabar bh`ee kuch` tujh`e daamaan-e-yaar! hai?
eHsaan kis qadar tiraa shehr-e-nigaar! hai
maiN hooN, junooN hai, laZZat-e-saNg-e-hazaar hai
yaad-e-shabaab, yaad-e-junooN, yaad-e-aarzoo!
ab hai to zindagee kee inheeN par madaar hai
kam-baKht dil hee meraa naheeN iKhtiyaar meN
kehne ko dil kaa Khud pah bohat iKhtiyaar hai!
guZree hai dh`oop is pah hazaaroN Khizaa,oN kee
shaa,istah-e-KhizaaN hai to meree bahaar hai!
kehte haiN Sabr ko woh taqaaZ^aa-e-zindagee
aur zindagee ko pooch`iYe to Khud hee baar hai!
kis jee se dil ko maiN bh`alaa ilzaam-e-i'shq dooN?
woh Khud hee apnee a'adatoN pah sharmsaar hai
kyaa aur koyee dil-jalaa tujh` ko naheeN milaa?
parKhaash kyoN mujh`ee se Gham-e-rozgaar! hai?
"Sarwar"! nah ho Gham-e-shab-e-furqat se taNgdil
naam-e-Khudaa yeh Gham hee to ik Gham-gusaar hai!