English اردو
dil dukh`aanaa tiree a'adat hai bh`ulaayee nah gayee **
dil dukh`aanaa tiree a'adat hai bh`ulaayee nah gayeeaah dunyaa! tiree aNgusht-numaayee nah gayee!
ashk behte rahe aur aah dabaayee nah gayee
daastaab-e-shab-e-Gham ph`ir bh`ee sunayee nah gayee
ph`ir wohee Gham hai, wohee maiN, wohee tanhaayee hai
yeh lagee dil kee hai aisee keh bujh`aayee nah gayee
rokte rokte aa hee gaYe aaNsoo mere
baat kuch` bigRee ph`ir aisee keh banaayee nah gayee
log to baat kaa afsaanah banaa dete haiN
warnah kyaa ham se tiree baat nibh`aayee nah gayee?
Husn-e-Khushkaar hee badlaa nah wafaa-peshah i'shq
Khaarpaashee nah gayee, aablah-paayee nah gayee!
kyaa kisee aur se kehtaa meN kahaanee apnee?
mujh` se Khud ko bh`ee ai dost! sunaayee nah gayee!
roz-o-shab Haal pah haNste rahe dunyaa waale
ph`ir bh`ee ai dil! tiree aashuftah-nawaayee nah gayee
inqilaab aate rahe dehr meN yooN to har dam
nah gayee teree magar t^arz-e-Khudaayee nah gayee!
baat achh`ee buree suntaa hai zamaaneh bh`ar kee
ph`ir bh`ee "Sarwar"! tiree yeh naGhmah-saraayee nah gayee!
غزل
