Ghazals | غزلیں


English اردو


tiraa yooN faiSilah ai gardish-e-ayyaam ho jaaYe **
tiraa yooN faiSilah ai gardish-e-ayyaam ho jaaYe
muHabbat naam hai jis kaa woh fitnah a'am ho jaaYe!

Khudaayaa! dil miraa shaa,istah-e-aalaam ho jaaYe
yeh dard-e-zindagee apnaa hee Khud ina'am ho jaaYe!

wafaa naa-aashnaa dunyaa, jafaa-peshah tiree fit^rat
ta,a'jjub kyaa waqaa meree agar ilzaam ho jaaYe!

mujh`e ruswaa jo karnaa hai, sar-e-baazaar-e-dunyaa kar
miraa bh`ee kaam ban jaaYe, tiraa bh`ee naam ho jaaYe!

miree bechaaragee ko yaad kar lenaa seHar waalo!
mujh`e gar intiz^aar-e-SubH meN hee shaam ho jaaYe

jise bh`ee dekh`iYe mujh` ko samajh`taa hai woh deewaanah
chaleN yooN hee sahee, dunyaa meN kuch` to naam ho jaaYe!

muHabbat naam hai shaam-o-seHar mar mar ke jeene kaa
ph`ir ik koshish Zaraa see ai dil-e-naakaam! ho jaaYe!

nah koyee aashnaa apnaa, nah koyee raazdaaN apnaa
Khudaa-naa-Khwaastah yooN zindagee dushnaam ho jaaYe!

jahaaN jaataa hai "Sarwar"! tujh` pah sab uNglee uTh`aate haiN
Khudaa-naa-Khwaastah aisaa koyee badnaam ho jaaYe!