Ghazals | غزلیں


English اردو


jo a't^aa karte haiN woh naam-e-Khudaa dete haiN **
jo a't^aa karte haiN woh naam-e-Khudaa dete haiN
Gham bh`ee dete haiN to himmat se siwaa dete haiN!

geh rulaate haiN hameN, gaah haNsaa dete haiN
jaane kis jurm kee aisee woh sazaa dete haiN?

is t^araH ahl-e-jafaa, daad-e-wafaa dete haiN
jab bh`ee kam hotaa hai Gham, aur baRh`aa dete haiN

daaGh-e-dil, daaGh-e-jigar, daaGh-e-junooN, daaGh-e-firaaq
haath` uTTh`aa hai to hai ab dekh`iYe kyaa dete haiN!

aag dil kee kaheeN ashkoN se bujh`aa kartee hai?
yeh to kuch` aur lagee dil kee baRh`aa dete haiN

dard woh dete haiN aisaa keh naheeN jis kaa i'laaj
aur ph`ir dard baRhaane kee dawaa dete haiN!

un kee baatoN meN jo aaYe to yeh jaanaa ham ne
baat kee baat meN deewaanah banaa dete haiN

laGhzisheN meree unheN baar haiN, Allah, Allah!
jo nigaahoN se mai-e-hosh-rubaa dete haiN

ham se uljh`e nah zamaanah keh haiN barbaad-e-junooN
gardish-e-waqt ko aa,eenah dikh`aa dete haiN!

kyoN ho be-mehree-e-dunyaa se pareshaaN "Sarwar"?
log to baat kaa afsaanah banaa dete haiN!