Ghazals | غزلیں


English اردو


maqaam-e-hijr meN lut^f-o-karam kee baateN haiN
maqaam-e-hijr meN lut^f-o-karam kee baateN haiN
Khayaal-e-Khaam-e-butaaN meN Haram kee baateN haiN!

dil-e-Ghareeb hai aur shaad-kaamee-e-ulfat
tiraa Khayaal hai aur kaif-o-kam kee baateN haiN

tiraa pataa hai hamaiN aur nah hee Khabar apnee
saraab-e-zeest hai aur jaam-e-jam kee baateN haiN

vohee hai va'da-e-fardah, vohee umeed-e-viSaal!
vohee hai too, vohee qaul-o-qasam kee baateN haiN

Hayaat-o-maut kaa jab koyee e'tibaar naheeN
to kyoN bh`alaa yeh vujood-o-a'dam kee baateN haiN?

qareeb aa ke voh is meN samaa gayaa jab se
mujh`e azeez bohat chashm-e-nam kee baateN haiN

chalo! voh saamne Khum-Khaana-e-muHabbat hai
fZ^zool saaree yeh dair-o-Haram kee baateN haiN

maqaam-e-i'shq kee a'z^mat hai Z^abt^-e-Gham :Sarwar:
or ek tum ho keh bas shaam-e-Gham kee baateN haiN!