English اردو
fuGhaaN kaa Zikr kareN, aarzoo kee baat kareN
fuGhaaN kaa Zikr kareN, aarzoo kee baat kareNisee bahaane kisee Khoobroo kee baat kareN
a'jeeb log haiN, deevaar-o-dar se Darte haiN!
vagarnah kyoN nah voh zaKhm-o-luhoo kee baat kareN?
qafas-naSeeb haiN, naa-aashnaa-e-gul to naheeN!
to kyoN nah shaam-e-alam raNg-o-boo kee baat kareN?
Gham-e-Habeeb se furSat, Gham-e-jahaaN se najaat
mile, to baiTh` ke jaam-o-suboo kee baat kareN
:isee taraH hameN shaayad sukoon-e-qalb mile: (1)
tiree adaa kee, tiree guftgoo kee baat kareN
jinheN Khud apnaa saraapaa naz^ar naheeN aataa
GhaZ^ab! voh log tiree justjoo kee baat kareN!
Khudaa-shanaas, vafaa-aashnaa, nah Khud-aagaah!
ph`ir is peh ahl-e-Khirad haa-o-hoo kee baat kareN!
shab-e-umeed Dhalee kab kee HaZ^rat-e-:Sarwar:!
baRh`aa,eN meHfil-e-mai aur vaZ^oo kee baat kareN!
غزل
