Ghazals | غزلیں


English اردو


aap aaYe yaad kee woh fitnah-saamaanee gayee
aap aaYe yaad kee voh fitnah-saamaanee gayee
th`ee hameN din raat kee jo ik pareeshaanee, gayee!

ahl-e-dil uTTh`e, junooN kee chaak-daamaanee gayee
waaYe-Hasrat! aarzoo,oN kee Ghazal-Khwaanee gayee

e'tibaar-e-hastee-e-mauhoom ik afsaanah th`aa
Ghaur se Khud ko jo dekh`aa, saaree Hairaanee gayee

u'mr bh`ar ham aashnaa-e-gul, KhizaaN-deedah rahe
gulshan-e-hastee meN apnee qadr kab jaanee gayee?

aah! yeh mauj-e-Havaadic kee karam-farmaa,iyaaN!
ham se apnee shakl bh`ee mushkil se pehchaanee gayee

kis ko furSat hai k soche imtiHaan-e-dehr meN
Khoo-e-insaanee gayee keh rooH-e-insaanee gayee?

mujh` ko kyaa hogaa bh`alaa Haasil bayaan-e-Haal se?
aap kee meHfil meN pehle kab miree maanee gayee?

jab se voh aaYe haiN, too but kee taraH Khaamosh hai
yeh bataa :Sarwar:! kahaaN teree hamah-daanee gayee?