Ghazals | غزلیں


English اردو


shab-e-Gham aarzoo,oN kee faraawaanee naheeN jaatee **
shab-e-Gham aarzoo,oN kee firaawaanee naheeN jaatee
dil-e-shoreedah-Khoo kee Khoon-afshaanee naheeN jaatee!

nah roYe i'shq ke anjaam par koyee zamaaneh meN
keh is manzil meN a'ql-o-hosh kee maanee naheeN jaatee!

jidh`ar bh`ee dekh`iYe Gham aur tamanna,oN kee yoorish hai
Khudaayaa! kyoN mataa'-e-Gham kee arzaanee naheeN jaatee?

takalluf bar-t^araf, kuch` to sabab hai, maajiraa kyaa hai?
hamaaree hee tiree meHfil meN kyoN maanee naheeN jaatee?

chale aa,o keh Khud ko dekh` looN ai dost! maiN tum meN
baRee muddat se meree shakl pehchaanee naheeN jaatee

kiYe jaataa hooN sajde aastaan-e-i'shq par har dam
bh`alaa ho dil kaa, meree Khoo-e-eemaanee naheeN jaatee!

hameN hastee kee is jaadoo-garee ne maar rakkh`aa hai
pareshaanee jo jaatee hai to Hairaanee naheeN jaatee!

ta,a'jjub se nigaah-e-lut^f kaa muNh tak rahaa hai dil
naYe is roop meN z^aalim yeh pehchaanee naheeN jaatee!

uTh`aa kartee hai qalb-e-naatawaaN meN hook jo akcar
woh pehchaanee to jaatee hai magar jaanee naheeN jaatee

huwaa hai ranj-o-Gham se taNg teraa qaafiyah "Sarwar"
ta,a'jjub hai keh ph`ir bh`ee yeh Ghazal-Khwaanee naheeN jaatee!