English اردو
kahaaN se aa gaYe tum ko nah jaane
kahaaN se aa gaYe tum ko nah jaanebahaane, aur ph`ir aise bahaane!
koyee yeh baat maane yaa nah maane
mujh`e dh`okaa diyaa mere Khudaa ne!
zamaanah kyaa bohat kaafee naheeN th`aa?
jo tum aaye ho mujh` ko aazmaane?
laboN per muhr-e-Khaamoshee lagee hai
diloN meN band haiN kitne fasaane!
nah maut apnee, nah apnee zindagee hai
magar Heele vohee haiN sab puraane!
zamaane ne lagaayee aisee Th`okar
hamaare hosh aaYe haiN Th`ikaane!
kahaaN tak tum karo ge fikr-e-dunyaa?
chale aa,o kabh`ee tum bh`ee manaane!
havaa-e-naa-muraadee! tere Sadqeh!
bahaar apnee nah apne aashyaane
yeh dunyaa! be-wafaa, be-mehr dunyaa!
yeh roz-o-shab, yeh us ke taane-baane
judaa sab se miraa Zauq-e-t^alab hai
nah shor-e-giryah, nay aah-o-fuGHaane!
nah voh saaqee, nah voh mai-Khaanah baaqee
kahaaN aaKhir gaye agle zamaane?
Zaraa dekho keh Dar ke bijliyoN se
jalaa Daale Khud apne aashyaane!
mileN ge ek din :Sarwar: se jaa kar
agar taufeeq dee ham ko Khudaa ne!