Ghazals | غزلیں


English اردو


zameeN baaqee hai pehlee see, nah hee woh aasmaaN baaqee!
zameeN baaqee hai pehlee see, nah hee woh aasmaaN baaqee
tumhaare dil meN woh meree muHabbat ab kahaaN baaqee!

hameN kaafee hai Husn-o-i'shq kee yeh jalwah-saamaanee
Khudaa rakkh`e tumhaaree Hasrat-e-sood-o-ziyaaN baaqee!

Khud apnee raah kaa patth`ar th`aa, shikwah kyaa zamaaneh se?
ta,a'jjub kyaa agar meraa naheeN naam-o-nishaaN baaqee!

kahaanee hai to itnee hai hamaaree zindagaanee kee
daleel-e-kaarwaaN mauhoom, gard-e-kaarwaaN baaqee!

guZargaah-e-Khayaal-e-yaar th`aa meraa dil-e-marHoom
magar ab reh gayee kehne ko bas ik daastaaN baaqee!

rah-e-ulfat meN chalte chalte aisaa bh`ee maqaam aayaa
riwaaj-e-sajdah baaqee th`aa, nah th`ee rasm-e-aZaaN baaqee!

bohat chaahaa keh teree Zaat meN kh`o jaa,ooN maiN lekin
miree yeh tishnah-kaamee! reh gayaa soz-e-nihaaN baaqee!

Khudaa ke waast^e ab ch`oR yeh i'shq-e-butaaN "Sarwar"
nah jaane reh gayee hai kis qadar u'mr-e-rawaaN baaqee!