English اردو
majboor-e-muHabbat hooN gunahgaar naheeN hooN
majboor-e-muHabbat hooN gunahgaar naheeN hooNmaiN gardish-e-hijraaN kaa sazaawaar naheeN hooN
ik jaam meN behke maiN woh maiKhwaar naheeN hooN
yeh kis ne kahaa SaaHeb-e-kirdaar naheeN hooN
wallah! keh dunyaa se maiN bezaar naheeN hooN
bas yeh hai keh maiN us kaa t^alabgaar naheeN hooN
Khud apnee i'naayaat kaa maSloob hooN aisaa
shaa,istah-e-daam-e-rasan-o-daar naheeN hooN
deewaanah hooN, laa-raib hooN deewaanah wa-lekin
yeh baat Ghalat^ hai keh maiN hushyaar naheeN hooN
be-baal-o-paree meree zamaaneh peh a'yaaN hai
woh Haal hai maiN apnee bh`ee Gham-Khwaar naheeN hooN
Khud se hee miree jaNg hai maidaan-e-Khudee meN
auroN se to maiN bar-sar-e-paikaar naheeN hooN
ik Harf-e-muHabbat hooN Zaraa paRh ke to dekh`o
aasaaN naheeN to aisaa bh`ee dushwaar naheeN hooN
maiN Khud peh a'yaaN hooN sar-e-haNgaamah-e-hastee
saayeh kee t^araH gum pas-e-deewaar naheeN hooN
hooN Khud se bh`ee aagaah, zamaaneh se bh`ee aagaah
momin hooN pah begaanah-e-zunnaar naheeN hooN
apnee hee Haqeeqat se jo begaanah ho "Sarwar"
aisaa to maiN mast-e-mai-e-pindaar naheeN hooN
غزل
![](/pictures/gg-majbooremuhabbat.jpg)