English اردو
shikwah-e-dost naheeN, tuhmat-e-aGhyaar naheeN
shikwah-e-dost naheeN, tuhmat-e-aGhyaar naheeNab zamaaneh se hameN koyee sarokaar naheeN
Khaak ho jaaYeN, hameN is meN Zaraa a'ar naheeN
haaN magar Zarrah-nawaazee ko woh tai,yyaar naheeN
too naheeN hai to woh raNgeenee-e-gulzaar naheeN
in dinoN mausam-e-gul kaa koyee ma'yaar naheeN
aur kyaa is se baRaa chaahiYe chaahat kaa cuboot
ham ko inkaar naheeN, aap ko iqraar naheeN!
ek too hai keh saraapaa hai tiraa Husn-e-Ghazal
ek maiN hooN keh mujh`e jur,at-e-iz^haar naheeN
uTh` gayee dehr se yak-laKht hee kyaa rasm-e-wafaa?
roz biktaa hooN magar koyee Khareedaar naheeN!
ek ik Harf hai tafseer-e-Hayaat-e-barbaad
dil ke TukRe haiN mire, yeh faqat^ ash,a'ar naheeN
Khaak jab ho liYe ulfat meN to ma'loom huwaa
jeet hee jeet hai is kh`el meN bas, haar naheeN!
fikr-e-duniyaa, Gham-e-eHbaab, Khayaal-e-jaanaaN
Zikr kis kis kaa karooN, Gham bh`ee to do-chaar naheeN
manzil-e-dard se be-laag guZar aayaa hooN
ab koyee manzil-e-dushwaar bh`ee dushwaar naheeN
dekh`iYe t^arz-e-paZeeraayee-e-shehr-e-KhoobaaN
saNg-e-deewaar to hai saayah-e-deewaar naheeN
aa,o ab lauT chaleN bazm-e-junooN meN waapis
ek bh`ee bazm-e-Khirad meN koyee hushyaar naheeN
manzil-e-i'shq meN ho aap kaa achh`aa anjaam
"Sarwar"! aise to kaheeN bh`ee koyee aacaar naheeN
غزل
![](/pictures/shikwahedost.jpg)