Ghazals | غزلیں


English اردو


SubH-e-ishrat dekh` kar shaam-e-GhareebaaN dekh` kar
SubH-e-i'shrat dekh` kar, shaam-e-GhareebaaN dekh` kar
meHv-e-Hairat hooN maiN raNg-e-bazm-e-imkaaN dekh` kar!

har qadam per ik taqaaZ^ah, her gh`aRee Hasrat nayee!
maiN chalaa th`aa raah-o-rasm-e-dehr aasaaN dekh` kar!

koyee batlaaye keh yeh mushkil muHabbat to naheeN?
ham pareshaaN ho gaye un ko pareshaaN dekh` kar!

is qadar hai Khaak se nisbat miree taqdeer ko
yaad aa jaataa hai gh`ar apnaa, bayaabaaN dekh` kar

uTh` gayee rasm-e-muHabbat, sard hai baazaar-e-i'shq
dil taRaptaa hai mataa,e`-Gham ko arzaaN dekh` kar

zindagee guZree kisee kee aarzoo karte huYe
aur ab HairaaN hooN maiN yeh shehr veeraaN dekh` kar

baat kyaa hai? yaad kyoN aataa hai aNjaam-e-Hayaat?
mausam-e-gul dekh` kar, raNg-e-bahaaraaN dekh` kar

kyaa milaa :Sarwar: tumheN is paarsaa,ee ke t^ufail?
us ko kaafir soch kar, Khud ko musalmaaN dekh` kar!