Ghazals | غزلیں


English اردو


paas hai tum ko agar pich`lee shanaasaayee kaa
paas hai tum ko agar pich`lee shanaasaayee kaa
aa,o duhraayeN fasaanah Gham-e-tanhaayee kaa!

Husn ko shauq hai gar anjuman-aaraayee kaa
aaYe dekh`e voh tamaashah miree rusvaayee kaa!

zindagee! maiN tujh`e mar mar ke jiYe jaataa hooN
kuch` to ina'am de is qaafiyah-paimaayee kaa!

Khud-parastee kaa yeh ilzaam? a'yaaZa"-b.illah!
maiN to ik a'ks hooN us jalvah-e-yaktaayee kaa!

kyoN tujh`e shaam-o-saHar Khadshah-e-badnaamee hai?
kaun suntaa hai fasaanah tire saudaayee kaa!

giryah-e-neem-shabee, aah-o-Gham-e-subHgahee!
aur kyaa Zikr ho us paikar-e-Zebaayee kaa?

jaan se jaa ke milee fikr-e-do-a'alam se najaat
shukriyah aap ke e'jaaz-e-maseeHaayee kaa!

kyaa samajh`te ho tum apne ko, bataa,o :Sarwar:?
da'vah aaKhir hai yeh kis baat pe daanaayee kaa?