Ghazals | غزلیں


English اردو


Gham-e-furqat kee lau har lamHeh maddh`am hotee jaatee hai
Gham-e-furqat kee lau har lamHeh maddh`am hotee jaatee hai
:Ilaahee! kyaa miree deewaanagee kam hotee jaatee hai:?

muHabbat imtiHaan-e-dard-e-paiham hotee jaatee hai
gh`uTaa jaataa hai dil aur chashm-e-Gham nam hotee jaatee hai

tumhaaree ham se jo waabastagee kam hotee jaatee hai
zahe qismat! Khushee shaa,istah-e-Gham hotee jaatee hai

Hayaat-e-bewafaa, zulf-e-pareshaaN, shaam-e-tanhaayee
maiN suljh`aataa hooN jitnaa aur barham hotee jaatee hai

nah jaane mo'jizah hai i'shq kaa yaa Sirf dh`okaa hai
woh jitne door hoN begaanagee kam hotee jaatee hai

lagaa kar aag Khud ahl-e-chaman aaNkh`eN dikh`ate haiN
riwaayat ik nayee gulshan meN qaayem hotee jaatee hai

nah tum badle, nah ham badle, nah t^arz-e-a'ashiqee badlaa
shanaasaayee GhamoN se dil kee baaham hotee jaatee hai

shikaayat, woh bh`ee shehr-e-jaur meN? taubah, mu,a'aZallah!
hamaaree bekasee Khud apnaa marham hotee jaatee hai

isee kaa naam hai me'raaj-e-i'shq-e-Must^afaa ai dil!
keh har shai nazr-e-sarkaar-e-do-a'alam hotee jaatee hai

koyee kaafir-adaa she'r-e-mujassam kyaa huwaa "Sarwar"
hamaaree shaa,i'ree Husn-e-mujassam hotee jaatee hai!