English اردو
Husn i'rfaan-e-Haqeeqat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN
Husn i'rfaan-e-Haqeeqat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN!i'shq ik Harf-e-a'qeedat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN!
jis kaa aaGhaaz, nah anjaam, nah u'nwaaN koyee
zindagee aisee Hikaayat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN!
log to baat kaa afsaanah banaa dete haiN
warnah ranjish bh`ee i'naayat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN
roz-o-shab, shaam-o-saHar ek hee Gham, ek hee yaad
har nafas roz-e-qiyaamat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN
log kyoN Zikr-e-qiyaamat se Daraa karte haiN?
woh tire partaw-e-qaamat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN!
ibtidaa Harf-e-tamannaa kee baRee aafat th`ee
intihaa ashk-e-nidaamat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN
koyee yak-raNgee-e-Sad-raNg-e-zamaanah dekh`e
dehr ik jalwah-e-weHdat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN!
rang-e-gul, raNg-e-shafaq, raNg-e-Hinaa, raNg-e-bahaar
ik tire raNg-e-shabaahat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN
saaNs lete huwe Dartaa hooN keh yaaro! har saaNs
mujh` ko ik saNg-e-malaamat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN
dosto! a'rZ^ jo kartaa hooN to sach kartaa hooN
dostee Husn-e-a'daawat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN!
teraa afsaanah-e-Gham-haaYe-zamaanah "Sarwar"
ek farsoodah riwaayat ke siwaa kuch` bh`ee naheeN!
غزل
