Ghazals | غزلیں


English اردو


soz-e-dil ko aashnaa-e-saaz honaa chaahiYe
soz-e-dil ko aashnaa-e-saaz honaa chaahiye
a'ashiqee meN raNg-o-Husn-e-naaz honaa chaahiye!

aa hee jaaYe gee shikastah baazoo,oN meN jaan bh`ee
shart^ yeh hai jazbah-e-parvaaz honaa chaahiye!

qiSSah-e-Gham dil hee se keh letaa hooN maiN haar kar
koyee to aaKhir miraa hamraaz honaa chaahiye!

hai agar bagaanah-e-hastee to ph`ir bekaar hai
shaai'ree ko vaqt kee aavaaz honaa chaahiye!

kab talak aavezish-e-dunyaa-o-u'qbaa, kab talak?
saaHebo! dunyaa ko u'qbaa-saaz honaa chaahiye!

zindagee aur zindagee kee bandishoN ko ch`oR kar
dil ko sargarm-e-niyaaz-o-naaz honaa chaahiye!

kyaa Z^arooree hai keh voh anjaam se ho baa-Khabar?
i'shq ko shaa,istah-e-aaGhaaz honaa chaahiye!

muntaz^ir haiN bazm meN saare hee arbaab-e-suKhan
tujh` ko :Sarwar: zamzamah-pardaaz honaa chaahiye!