English اردو
doobtaa hai dil kalejah muNh ko aayaa jaaYe hai
Doobtaa hai dil, kalejah muNh ko aayaa jaaYe haihaaYe! yeh kaisee qiyaamat yaad teree Dh`aaYe hai!
i'shq kee yeh Khud-farebee! al-amaan-o-al-Hafeez^!
jaan kar warnah bh`alaa Khud kaun Th`okar kh`aaYe hai?
aanKh` nam hai, dil fasurdah hai, jigar aashuftah-Khoo
laakh` samjh`aa,o walekin chain kis ko aaYe hai?
kyaa tamannaa, kaun see Hasrat, kahaaN kee aarzoo?
raNg-e-hastee dekh` kar dil hai keh Doobaa jaaYe hai!
e'tibaar-e-dostee kaa Zikr koyee kyaa kare?
e'tibaar-e-dushmanee bh`ee ab to uTh`taa jaaYe hai!
is dil-e-bemehr kee yeh kaj-adaayee dekh`iYe
aap hee shikwah kare hai, aap hee pach`taaYe hai!
bekasee to dekh`iYe meree rah-e-ummeed meN
dil ko samjh`aataa hooN maiN aur dil mujh`e samjh`aaYe hai!
kyaa shikaayat ho zamaaneh se bh`alaa "Sarwar" ke ab?
maiN jahaaN hooN mujh` se saayah bh`ee miraa katraaYe hai!
غزل
![](/pictures/gg-doobtaahaidil_cr.gif)
![](/pictures/gg-haayekyaakahiye.jpg)