Ghazals | غزلیں


English اردو


meree naz^ar kaa hai nah tumhaaree naz^ar kaa hai
meree naz^ar kaa hai nah tumhaaree naz^ar kaa hai
saaraa fisaad gardish-e-shaam-o-saHar kaa hai!

yeh shauq-e-naamuraad, yeh manzil kee dooriyaaN!
iss per iraadah dasht-e-junooN ke safar kaa hai!

kyoN aap iss qadar haiN Khafaa a'rZ^-e-Haal par?
SaaHeb! mua'amila to yeh apne hee gh`ar kaa hai!

Zikr-e-Habeeb, yaad-e-Khudaa, fikr-e-rozgaar!
qiSSah yeh aik pal kaa naheeN u'mr bh`ar kaa hai!

aa,eenah-e-majaaz Haqeeqat-shanaas hai
ab kaam hai to aap ke Husn-e-naz^ar kaa hai!

Ghurbat meN be-kasoN ko bh`alaa pooc`htaa hai kaun?
kyaa e'tibaar saayah-e-deevaar-o-dar kaa hai!

aashuftagaan-e-koo-e-malaamat kahaaN gaYe?
dunyaa ko intiz^aar kisee deedah-war kaa hai!

:Sarwar: jo uTh` ke seHn-e-Haram se nikal gayaa
kyaa jaaniYe keh us kaa iraada kidh`ar kaa hai?