Ghazals | غزلیں


English اردو


bandah-navaaz! Soorat-e-Haalaat aur hai
bandah-navaaz! Soorat-e-Haalaat aur hai
dunyaa kee baat aur, miree baat aur hai!

Haalaat Khud badal ke sar-e-shaam-e-aarzoo
voh keh gaYe, " taqaaZ^ah-e-Haalaat aur hai"!

is i'shq-e-naa-muraad kee Khaanah-KharaabiyaaN
din jaise taise beet gayaa, raat aur hai!

ai soz-e-i'shq! is kaa bhee qiSSah tamaam kar
eemaaN ke saath` jaan kee sauGhaat aur hai!

kyaa pooch`te ho laZZat-e-aazaar-e-intiz^aar?
milnaa hai aur, shauq-e-mulaaqaat aur hai!

kaTne ko zindagee to kisee taur kaT gayee
sunte haiN aik daur-e-t^ilismaat aur hai!

:tai kar chukaa hooN raah-e-muHabbat ke marHale: (Raz Chandpuri)
bas aik saNg-e-raah miree Zaat aur hai!

:Sarwar: Khayaal aap ko aayaa naheeN Zaraa?
hai i'shq aur, i'zzat-e-saadaat aur hai!