Ghazals | غزلیں


English اردو


tamaam dunyaa meN Dh`ooND aayaa maiN gum-shudah zindagee kee Soorat
tamaam duniyaa meN Dh`ooND aayaa maiN gum-shudah zindagee kee Soorat
milee to akcar Hayaat-e-muZ^t^ar, magar milee ajnabee kee Soorat

sabaq hai seekh`aa ham ahl-e-dil ne yeh i'jz kee sar-balandiyoN se
keh ek sajdah hai kaafee lekin ho bandagee bandagee kee Soorat!

a'jeeb dastoor-e-a'ashiqee hai, nah maiN hee maiN hooN, nah tum hee tum ho
nah dostee dostee kee Soorat, nah dushmanee dushmanee kee Soorat!

Khabar, taSawwur, Khayaal, eemaaN, gumaaN, yaqeeN, fikr, i'lm, Hikmat
maqaam-e-Khud-aagahee ke aage, sawaad-e-kam-aagahee kee Soorat!

barahnaa-paa, aablah-gazeedah, shikastah-dil, pairhan-dareedah
maqaam-e-Sidrah peh sochtaa hooN, koyee hai pardah-daree kee Soorat?

milaa sar-e-raah Khud se jab maiN, a'jeeb hee apnaa Haal dekh`aa
kisee kee aaNkh`eN, kisee kaa chehrah, naz^ar kisee kee, kisee kee Soorat!

nah mujh se pooch`o keh maiN kahaaN hooN, mujh`e to kuch` bh`ee patah naheeN hai
keh apnee Soorat meN aa rahee hai naz^ar mujh`e har kisee kee Soorat

yeh sach hai duniyaa meN aur bh`ee haiN jameel-o-Khushroo, Haseen-o-dilbar
pasand aayee magar hameN to janaab-e-man! aap hee kee Soorat!

nah jaane kab se kh`aRaa th`aa "Sarwar" ik aasteen-e-umeed th`aame
woh niklaa Khud se hee Ghair-HaaZ^ir, huyee a'jab HaaZ^iree kee Soorat!