Ghazals | غزلیں


English اردو


nafas nafas sar-ba-sar pareshaaN, naz^ar naz^ar iZ^t^iraab meN hai
nafas nafas sar-ba-sar pareshaaN, naz^ar naz^ar iZ^t^iraab meN hai
magar woh taSweer-e-Husn-e-ma'nee niqaab meN th`ee, niqaab meN hai

koyee bataaYe keh farq kaisaa yeh a'ashiqee ke niSaab meN hai
mire sawaaloN meN kab th`aa aaKhir woh sab jo un ke jawaab meN hai

mazah nah zuhd-o-cawaab meN hai, nah lut^f jaam-o-sharaab meN hai
"Gham-e-judaayee se jaan meree a'jab t^araH ke a'Zaab meN hai"

nah munh se bolo, nah sar se kh`elo, a'jeeb dastoor hai tumhaaraa
salaam lene kaa yeh t^areeqah tumheeN kaho kis kitaab meN hai?

miyaan-e-Khwaab-o-Khayaal-o-Hasrat talaash ke laakh marHale th`e
rah-e-muHabbat meN kaamyaabee bataa,iYe kis Hisaab meN hai?

kashaakash-e-ranj-e-hijr, taubah! kise tamannaa-e-waSl hai ab?
zahe muHabbat, miraa taKhai,yyul jo Khud-shinaasee ke baab meN hai

tamaashah-e-bood-o-hast aSl-e-Hayaat hai to Hayaat kyaa hai?
jo baat ab tak Hijaab meN th`ee, woh baat ab bh`ee Hijaab meN hai

saHar-gazeedah chiraaG-e-shab th`aa, bh`aRak bh`aRak ke jo bujh` gayaa hai
wujood, maanind-e-dood meraa t^awaaf-e-bazm-e-Kharaab meN hai

zamaanah bezaar tujh` se "Sarwar", too aap bezaar zindagee se
koyee Kharaabee to hai yaqeena" jo tujh` se Khaanah-Kharaab meN hai