Ghazals | غزلیں


English اردو


aafat ho, muSeebat ho, qiyaamat ho, balaa ho
aafat ho, muSeebat ho, qiyaamat ho, balaa ho
ma'loom to ho mere liYe kaun ho, kyaa ho?

kehne ko to baateN haiN bohat shaam-e-muHabbat
kyaa keejiYe jab dil hee yeh majboor-e-anaa ho

me'raaj-e-muHabbat hai yeh me'raaj-e-wafaa hai
maiN hooN, tiree bas yaad ho aur Harf-e-du,a'a ho

maiN apne hee alfaaz^ meN gumkardah-e-manzil
tum jaan-e-Ghazal, jaan-e-suKhan, Husn-e-adaa ho

majboor-e-muHabbat hooN gunahgaar naheeN hooN
tum kaun see aqleem-e-muHabbat ke Khudaa ho?

ho jaaYe gaa batlaa,o GhaZ^ab kaun saa aisaa?
gar manzil-e-ulfat meN shikaayat bhee rawaa ho

gumraahee-e-Sad-raah-e-muHabbat mujh`e Khush hai
haaN shart^ yeh hai too hee miraa raah-numaa ho

duniyaa se jo ummeed-e-wafaa tum ko hai "Sarwar"
itnaa to bataa,o bh`alaa tum chaahate kyaa ho?