Ghazals | غزلیں


English اردو


Hayaat maut kaa hee ek shaaKhsaanah lage
Hayaat maut kaa hee ek shaaKhsaanah lage
hameN Khud apnee Haqeeqat bh`ee ik fasaanah lage

gumaan, aagahee, too, maiN, umeed, naumeedee
hameN sabh`ee Gham-e-hastee kaa kaaKhaanah lage

jo dard hai woh tire qurb kee nishaanee hai
jo saaNs hai woh tiree yaad kaa bahaanah lage

pare hai sarHad-e-idraak se wujood tiraa
agar maiN sochooN tujh`e mujh` ko ik zamaanah lage

yeh meree aarzoo-mandee! yeh meree meHroomee!
Khudaa Khudaa to rahe par Khudaa Khudaa nah lage

Khudee ne kh`ol diYe raaz-e-beKhudee ham par
qadam qadam peh hameN teraa aastaanah lage

woh teree yaad kee Khushboo, umeed kee aahaT
samand-e-shauq ko goyaa keh taazyaanah lage

zamaanah tujh` ko Khirad-mand laakh` gardaane
magar hameN to ai "Sarwar"! too ik diwaanah lage!