Ghazals | غزلیں


English اردو


kabh`ee tujh`peh meree nigaah hai, kabh`ee Khud se mujh` ko Khit^aab hai
kabh`ee tujh` peh meree nigaah hai kabh`ee Khud se mujh` ko Khit^aab hai
koyee yeh bataaYe hai raaz kyaa, yahaaN kaun zer-e-niqaab hai?

mujh`e too hee kaash bataa sake yeh karam hai keh i'taab hai
kabh`ee raNg-e-i'shwah-o-naaz hai, kabh`ee be-niyaazee kaa baab hai

Zaraa soch to sahee naaSiHaa! bh`alaa tujh` meN mujh` meN hai farq kyaa
mujh`e fikr-e-shaam-e-firaaq hai, tujh`e Khauf-e-roz-e-Hisaab hai

kabh`ee is t^araH, kabh`ee us t^araH miraa imtiHaan huwaa kiyaa
isee fikr meN kaTee zindagee keh yeh kaisaa meraa niSaab hai?

yeh jahaaN ho yaa woh jahaan ho, koyee in ko le ke kare gaa kyaa
yeh hai regzaar-e-gurezpaa, to woh kaarwaan-e-saraab hai

tab-o-taab-e-shewah-e-dilbaree! tab-o-taab-e-shewah-e-dilbaree!
"nah payaam hai, nah salaam hai, nah sawaal hai, nah jawaab hai"

kabh`ee is t^araf bh`ee uTh`aa naz^ar, tujh`e apnee bh`ee hai koyee Khabar?
naheeN chashm-e-tar, hai yeh aa,eenah! miraa dil naheeN yeh kitaab hai!

koyee laakh tujh` ko kahe buraa, nah GhameeN ho "Sarwar"-e-benawaa
yeh faraaz-e-daar-e-anaa hee to tire Haq meN kaar-e-cawaab hai!