English اردو
roz-o-shab rulaaYe gee aap kaa kamee kab tak?
roz-o-shab rulaaYe gee aap kee kamee kab tak?:dard-e-bekasee kab tak? ranj-e-a'ashiqee kab tak?
"Sarwar"-e-pareshaaN se aisee dil-lagee kab tak?
be-ruKhee ke parde meN naaz-o-dilbaree kab tak?
daaGh-e-naarasaayee kyoN, zaKhm-e-kajrawee kab tak?
SubH nauHah-KhwaaN ho gee shaam-e-yaas kee kab tak?
kyoN nah ham bhee dikhlaaYeN daaGh-haaYe shaam-e-Gham?
meHshar-e-muHabbat meN yeh rawaa-rawee kab tak?
ab to apnee Soorat bhee ajnabee see lagtee hai
de gee yooN fareb aaKhir meree zindagee kab tak?
SubH-o-shaam shikwah hai, roz-o-shab kaa ronaa hai
is t^araH nibhaa,o ge ham se dostee kab tak?
raah-e-maikadah yaa Rab! har qadam peh khoTee hai
karb-e-tishnagee kab tak? jaam yeh tehee kab tak?
maiN shikaar-e-naumeedee, too wafaa se begaanah
dekhiYe rahe apnee zeest ajnabee kab tak!
ho chukeeN bohat baateN, soch to Zaraa "Sarwar"
manzil-e-muHabbat meN Sirf shaa,i'ree kab tak?
غزل
