Ghazals | غزلیں


English اردو


mujhe zindagee peh apnee agar iKhtiyaar hotaa!
mujhe zindagee peh apnee agar iKhtiyaar hotaa
to maiN raah-e-aarzoo meN yooN Kharaab-o-Khwaar hotaa?

tujhe meraa, mujh ko teraa agar e'tibaar hotaa
nah too sharmsaar kartaa, nah maiN sharmsaar hotaa!

kiyaa too ne yeh GhaZ^ab kyaa, diyaa khol raaz-e-hastee?
nah maiN aashkaar hotaa, nah too aashkaar hotaa!

Gham-e-aarzoo meN jaaN par miree yooN agar nah bantee
koyee aur teraa saathee, dil-e-beqaraar! hotaa?

sar-e-bazm meree jaanib jo too uThtee gaahe gaahe
mujhe tujh se shikwah phir kyoN ai nigaah-e-yaar! hotaa?

nah maiN tujh se aashnaa hooN, nah hee Khud se baa-Khabar hooN
yeh maze kahaaN se milte agar hoshiyaar hotaa?

miree fikr dil-kushaa hai, miree baat be-riyaa hai
tujhe phir bhee yeh gilaa hai maiN wafaa-shi,a'ar hotaa!

hai Khat^aa yeh i'shq lekin, yeh gunaah to naheeN hai!
maiN Khat^aa se taubah kartaa to gunaahgaar hotaa!

Gham-e-a'ashiqee huwaa hai Gham-e-zindagee meN shaamil
:mujhe kyaa buraa thaa marnaa agar ek baar hotaa:!

tiree ik Ghazal bhee "Sarwar" kisee kaam kee jo hotee
to Z^aroor shaa,i'roN meN tiraa bhee shumaar hotaa!